The next logical step arguably...Here goes:
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher dushman se liya nahi ja sakta,
Market ka trend jab ho ek tarfa,
Uske khilaaf position liya nahi jaa sakta
Bechara kuch is adaa say rukh hi badal gaya,
Ek shaks saarey market ko stop out karaa gaya
Har dil ka ek raaz hota hai,
Har baat ka ek andaz hota hai ,
Jab tak na lage stop ki thokar,
Har kisi ko apni view par naaz hota hai
Milake Nazarse Nazar Loot Lenge,
Ye Bewafa Jalwe Jigar Loot Lenge,
Currencies Pe Hargiz Bharosa Na Karna,
Khudaki Kasam Ye Desk ke Desk Loot Lenge...
Real economy ki imaarto mein kahin bandagi nahi,
Aur leverage ke Masjido mei Khuda ko dhoondte hain log...
Kuch Aussie banay, kuch Kiwi banay,
Kuch Loonie, kuch Real huay,
Is carry trade ki chaahat mein,
Jaane kitne barbaad huay...
Levels toottay hain, momentum Ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi to trend jama hota hai,
Flow ki baaton ko hoton se nahi kahte,
Yeh fasaana to price action se bayaan hota hai...
Aag suraj main hoti hai,
Jalna dharti ko padta hai,
Trade client karte hain,
Tadapna saleswaalay ko padta hai
Josheela bhalay aaghaaz ho, ek baar to aaram karna padta hai,
Bullaana bhalay andaz ho, ek baar to short karna padta hai...
Kashish honi chahiye yaad karne ki,
Lamhe to apne aap mil jaate hain.
Limits honi chahiye trade karne ke liye,
View to apne aap ban jaate hain..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
too much !!
ReplyDeletewaah waah sirji ....maan gaye
ReplyDelete