Sunday, July 24, 2011

Pannay

Aaj mainay kuch pannay paltay
Kuch yaadein jholi mein bikhar gayi
Yaadein jo beetay kal ki umeedein thi
Yaadein jinki ab umeed hai nahi

Kitna kuch tha tab jo ab nahi hai
Kitna kuch nahi tha tab jo ab hai
Kuch qaid hai lekin pannon mein ab bhi
Jo mujh say wohi sawaal poochta hai
Aakhir yoon na hota to kaisa hota?
Fir un pannon ka aakar kaisa hota?

Lekin umeed pannon ki fitrat mein nahi
Fir pannon ko kya kosna, palatna kya
Umeed to kal par aaj ki parchhai hai
Woh kal to apni marzi se hi aayega
Us kal se hi to umeedein saji hain
Us kal se hi to naye pannay banengay...

No comments:

Post a Comment